ho gai sham Dhal gaya suraj
ho ga.ī shaam Dhal gayā sūraj
din ko shab meñ badal gayā sūraj
gardish-e-vaqt kaT ga.ī āḳhir
lo gahan se nikal gayā sūraj
din bhī jaise udaas rahtā hai
haa.e kitnā badal gayā sūraj
ham ne jis kūche meñ guzārī shab
is jagah sar ke bil gayā sūraj
ab bahut ho chuke uTho 'nādir'
chaḌh gayā din nikal gayā sūraj
ho gai sham Dhal gaya suraj
din ko shab mein badal gaya suraj
gardish-e-waqt kaT gai aaKHir
lo gahan se nikal gaya suraj
din bhi jaise udas rahta hai
hae kitna badal gaya suraj
hum ne jis kuche mein guzari shab
is jagah sar ke bil gaya suraj
ab bahut ho chuke uTho 'nadir'
chaDh gaya din nikal gaya suraj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.