ho gaya manzil-nashin jo rah-rau diwana tha
ho gaya manzil-nashin jo rah-rau diwana tha
Shafatullah Khan shar
MORE BYShafatullah Khan shar
ho gayā manzil-nashīñ jo rāh-rau dīvāna thā
intiḳhāb-e-rāh meñ hī ġham abhī farzāna thā
ai nigāh-e-barq yuuñ to aur bhī the āshiyāñ
terā manzūr-e-nazar kyā merā hī kāshāna thā
morid-e-ilzām kyoñ Thahre bhalā dast-e-karam
māñgne vaale tirā lahja hī gustāḳhāna thā
qaum kā hī ġham thā jo 'iqbāl' ne shikva kiyā
ġhaur kiije to vo shikva shikva-e-be-jā na thā
dard hī se azmat-e-insāñ baḌhī varna 'sahar'
ek musht-e-ḳhāk thā jab dard se begāna thā
ho gaya manzil-nashin jo rah-rau diwana tha
intiKHab-e-rah mein hi gham abhi farzana tha
ai nigah-e-barq yun to aur bhi the aashiyan
tera manzur-e-nazar kya mera hi kashana tha
morid-e-ilzam kyon Thahre bhala dast-e-karam
mangne wale tera lahja hi gustaKHana tha
qaum ka hi gham tha jo 'iqbaal' ne shikwa kiya
ghaur kije to wo shikwa shikwa-e-be-ja na tha
dard hi se azmat-e-insan baDhi warna 'sahar'
ek musht-e-KHak tha jab dard se begana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.