ho gaya patthar kaleja gham se dil ki dil mein hai
ho gaya patthar kaleja gham se dil ki dil mein hai
Nabi Bakhsh Nayab
MORE BYNabi Bakhsh Nayab
ho gayā patthar kaleja ġham se dil kī dil meñ hai
aa paḌī ab aur ik mushkil mirī mushkil meñ hai
sabr paḌ jaa.e na sāhib ḳhātir-e-nāshād kā
aap kī jo aañkh meñ hai vo hamāre dil meñ hai
ālam-e-fānī hai tasvīr-e-ḳhayālī sar-ba-sar
ablahī pinhāñ hamāre da.avā-e-bātil meñ hai
vasl kī shab hai ilāhī merī qismat so na jaa.e
niiñd kaisī rūnumā ye chashm-e-sangīñ-dil meñ hai
jā girā huuñ uTh ke masjid se maiñ kis kī raah meñ
ye kashish kis ke ruḳh-e-rashk-e-mah-e-kāmil meñ hai
fātiha ke vāste kaun aaya marqad par mere
chāñdnī kaisī merī is āḳhirī manzil meñ hai
jaan hai jab nazr-e-jānāñ maut se phir kyoñ Darūñ
jāntā huuñ zindagī merī kaf-e-qātil meñ hai
mol letā huuñ jarā.em haath gir aa.eñ na muft
rahm ne ummīd kyā bhar dī dil-e-ġhāfil meñ hai
aañkh bhī uThne nahīñ detā taġhāful us taraf
aur idhar us kā tasavvur har rag-e-bismil meñ hai
bhiik māñgī hai dar-e-jānāñ se dekho to zarā
husn kā zarra bhī koī kashtī-e-sā.il meñ hai
va.ada aane kā thā imshab kis ne rokā hai use
aag ye kis ne lagā dī ḳhirman-e-hāsil meñ hai
bahr behad hai kināra aa nahīñ saktā nazar
dil bahut ġhamgīñ ḳhayāl-e-dūrī-e-sāhil meñ hai
maiñ kahīñ rahtā huuñ mere dil meñ rahtā hai koī
bāvar aaya aur ik manzil mirī manzil meñ hai
Dartā huuñ maiñ Daal de us ko bhī mushkil meñ na dil
vo sitam-pesha mire dil meñ hai dil mushkil meñ hai
kis tarah nāyāb kū-e-nek-nāmī ho nasīb
haq ne badnāmī guñdhī āshiq kī āb-o-gil meñ hai
ho gaya patthar kaleja gham se dil ki dil mein hai
aa paDi ab aur ek mushkil meri mushkil mein hai
sabr paD jae na sahib KHatir-e-nashad ka
aap ki jo aankh mein hai wo hamare dil mein hai
aalam-e-fani hai taswir-e-KHayali sar-ba-sar
ablahi pinhan hamare dawa-e-baatil mein hai
wasl ki shab hai ilahi meri qismat so na jae
nind kaisi runuma ye chashm-e-sangin-dil mein hai
ja gira hun uTh ke masjid se main kis ki rah mein
ye kashish kis ke ruKH-e-rashk-e-mah-e-kaamil mein hai
fatiha ke waste kaun aaya marqad par mere
chandni kaisi meri is aaKHiri manzil mein hai
jaan hai jab nazr-e-jaanan maut se phir kyon Darun
jaanta hun zindagi meri kaf-e-qatil mein hai
mol leta hun jaraem hath gir aaen na muft
rahm ne ummid kya bhar di dil-e-ghafil mein hai
aankh bhi uThne nahin deta taghaful us taraf
aur idhar us ka tasawwur har rag-e-bismil mein hai
bhik mangi hai dar-e-jaanan se dekho to zara
husn ka zarra bhi koi kashti-e-sail mein hai
wada aane ka tha imshab kis ne roka hai use
aag ye kis ne laga di KHirman-e-hasil mein hai
bahr behad hai kinara aa nahin sakta nazar
dil bahut ghamgin KHayal-e-duri-e-sahil mein hai
main kahin rahta hun mere dil mein rahta hai koi
bawar aaya aur ek manzil meri manzil mein hai
Darta hun main Dal de us ko bhi mushkil mein na dil
wo sitam-pesha mere dil mein hai dil mushkil mein hai
kis tarah nayab ku-e-nek-nami ho nasib
haq ne badnami gundhi aashiq ki aab-o-gil mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.