ho juda ai chaara-gar hai mujhko aazar-e-firaq
ho judā ai chāra-gar hai mujh ko āzār-e-firāq
be-visāl achchhā huā bhī koī bīmār-e-firāq
shoḳhī-e-parda-nashīñ kī ishva-sāzī dekhnā
dil hai badmast-e-visāl aur diida bedār-e-firāq
ek naale meñ phiregā mehr-o-mah ko DhūñDhtā
ai falak mat chheḌ mujh ko huuñ azā-dār-e-firāq
vasl thī merī sazā hijr intiqām-e-ġhair thā
kab huā ḳhū-karda-e-hijrāñ giraftār-e-firāq
koī kartā hai ḳhatā aur koī paatā hai sazā
ġhair gustāḳh-e-visāl aur maiñ sazā-vār-e-firāq
dam-ba-dam bijlī gire yā nahr-e-ḳhūñ jaarī rahe
iltiyām is siine kā kyā jo hai afgār-e-firāq
aañkh kab lagtī hai hiile se jo tujh se lag ga.ī
dāstān-e-vasl kab suntā hai bedār-e-firāq
daam meñ sayyād ke kyuuñ ki na bulbul mar rahe
dāman-e-har-barg-e-gul meñ thā nihāñ ḳhār-e-firāq
sau bahār aa.e magar jaatā hai koī dāġh-e-dil
lāla-o-gul kā nahīñ mushtāq ḳhūñ-bār-e-firāq
ab 'qalaq' Thokar se terī jī chukā marne ke ba.ad
āshnā-e-vasl kab ho nāz-bardār-e-firāq
ho juda ai chaara-gar hai mujh ko aazar-e-firaq
be-visal achchha hua bhi koi bimar-e-firaq
shoKHi-e-parda-nashin ki ishwa-sazi dekhna
dil hai badmast-e-visal aur dida bedar-e-firaq
ek nale mein phirega mehr-o-mah ko DhunDhta
ai falak mat chheD mujh ko hun aza-dar-e-firaq
wasl thi meri saza hijr intiqam-e-ghair tha
kab hua KHu-karda-e-hijran giraftar-e-firaq
koi karta hai KHata aur koi pata hai saza
ghair gustaKH-e-visal aur main saza-war-e-firaq
dam-ba-dam bijli gire ya nahr-e-KHun jari rahe
iltiyam is sine ka kya jo hai afgar-e-firaq
aankh kab lagti hai hile se jo tujh se lag gai
dastan-e-wasl kab sunta hai bedar-e-firaq
dam mein sayyaad ke kyun ki na bulbul mar rahe
daman-e-har-barg-e-gul mein tha nihan KHar-e-firaq
sau bahaar aae magar jata hai koi dagh-e-dil
lala-o-gul ka nahin mushtaq KHun-bar-e-firaq
ab 'qalaq' Thokar se teri ji chuka marne ke baad
aashna-e-wasl kab ho naz-bardar-e-firaq
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.