ho kabhi gar tujhko dariya ki rawani dekhna
ho kabhī gar tujh ko dariyā kī ravānī dekhnā
to tū ham jaise dīvānoñ kī kahānī dekhnā
chaḌhte dekhī ek chyūñTī maiñ ne us dīvār par
us se sīkhā ḳhvāb maiñ ne āsmānī dekhnā
dekhne bhar se tumheñ hai miltā is dil ko sukūn
chāhtā huuñ tum ko saarī zindagānī dekhnā
sher ke pahle hī misre meñ likhā hai us kā naam
phir nahīñ hai ab to mumkin us kā saanī dekhnā
jis javānī pe tumheñ bhī aaj hai itnā gumān
ek din Dhal jaanī hai saarī javānī dekhnā
baiThnā aa ke kisī shab saath mere aur phir
in ḳhush āñkhoñ se to girye kī ravānī dekhnā
chāhiye jitnā maiñ us ko bātoñ meñ huuñ lā chukā
ab badan pe vasl kī hai bas nishānī dekhnā
ho kabhi gar tujh ko dariya ki rawani dekhna
to tu hum jaise diwanon ki kahani dekhna
chaDhte dekhi ek chyunTi main ne us diwar par
us se sikha KHwab main ne aasmani dekhna
dekhne bhar se tumhein hai milta is dil ko sukun
chahta hun tum ko sari zindagani dekhna
sher ke pahle hi misre mein likha hai us ka nam
phir nahin hai ab to mumkin us ka sani dekhna
jis jawani pe tumhein bhi aaj hai itna guman
ek din Dhal jaani hai sari jawani dekhna
baiThna aa ke kisi shab sath mere aur phir
in KHush aankhon se to girye ki rawani dekhna
chahiye jitna main us ko baaton mein hun la chuka
ab badan pe wasl ki hai bas nishani dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.