ho ke bechain main bhaga kiya aahu ki tarah
ho ke bechain maiñ bhāgā kiyā aahū kī tarah
bas gayā thā mire andar koī ḳhushbū kī tarah
koī saaya na milā sāya-e-gesū kī tarah
saare jīvan kī thakan utrī hai jaadū kī tarah
merī āvāz tujhe chhū le bas itnī mohlat
tere kūche se guzar jā.ūñgā sādhū kī tarah
vo jo aa jaa.e to kyā hosh kā aalam hogā
jis ke aane kī ḳhabar phailī hai ḳhushbū kī tarah
zindagī pyaar vafā sab kā muqaddar yaksāñ
muskurāhaT kī tarah hai kabhī aañsū kī tarah
har taraf aag lagā aa.e ho phir pūchhte ho
kyuuñ chalī bād-e-sabā ab ke baras lū kī tarah
shā.erī terī ibādat ke sivā kuchh bhī nahīñ
kar rahā huuñ maiñ tapasyā kisī sādhū kī tarah
har alam saath rahā gard-e-safar kī mānind
har ḳhushī raah meñ mujh ko milī jugnū kī tarah
zindagī Thokareñ khātī hai bichhaḌ kar tujh se
terī pāzeb ke TuuTe hue ghuñghrū kī tarah
koī ishvar kahe us ko ki ḳhudā koī kahe
vo musalmāñ kī tarah hai na vo hindū kī tarah
apnī har saañs pe ehsāñ liye ham-dardoñ kā
zindagī jiitā huuñ is ahd meñ urdu kī tarah
ab ye ehsās kī ḳhūbī ho ki ḳhāmī ho 'nūr'
us kī nafrat kā dhuāñ bhī lagā ḳhushbū kī tarah
ho ke bechain main bhaga kiya aahu ki tarah
bas gaya tha mere andar koi KHushbu ki tarah
koi saya na mila saya-e-gesu ki tarah
sare jiwan ki thakan utri hai jadu ki tarah
meri aawaz tujhe chhu le bas itni mohlat
tere kuche se guzar jaunga sadhu ki tarah
wo jo aa jae to kya hosh ka aalam hoga
jis ke aane ki KHabar phaili hai KHushbu ki tarah
zindagi pyar wafa sab ka muqaddar yaksan
muskurahaT ki tarah hai kabhi aansu ki tarah
har taraf aag laga aae ho phir puchhte ho
kyun chali baad-e-saba ab ke baras lu ki tarah
shaeri teri ibaadat ke siwa kuchh bhi nahin
kar raha hun main tapasya kisi sadhu ki tarah
har alam sath raha gard-e-safar ki manind
har KHushi rah mein mujh ko mili jugnu ki tarah
zindagi Thokaren khati hai bichhaD kar tujh se
teri pazeb ke TuTe hue ghunghru ki tarah
koi ishwar kahe us ko ki KHuda koi kahe
wo musalman ki tarah hai na wo hindu ki tarah
apni har sans pe ehsan liye ham-dardon ka
zindagi jita hun is ahd mein urdu ki tarah
ab ye ehsas ki KHubi ho ki KHami ho 'nur'
us ki nafrat ka dhuan bhi laga KHushbu ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.