ho rahi thi kami udasi ki
ho rahī thī kamī udāsī kī
phir ye mahfil jamī udāsī kī
mere aañsū nikāl detī hai
guftugū bāhamī udāsī kī
vasl kī muskurāhaTeñ lab par
aañkh meñ hai namī udāsī kī
mahfiloñ meñ bhī kis qadar tanhā
dekhiye barhamī udāsī kī
sub.h hote hī ro paḌī shabnam
dekh kar bebasī udāsī kī
'roz' jab shaam ho ga.ī gahrī
ḳhairiyat pūchh lī udāsī kī
ho rahi thi kami udasi ki
phir ye mahfil jami udasi ki
mere aansu nikal deti hai
guftugu bahami udasi ki
wasl ki muskurahaTen lab par
aankh mein hai nami udasi ki
mahfilon mein bhi kis qadar tanha
dekhiye barhami udasi ki
subh hote hi ro paDi shabnam
dekh kar bebasi udasi ki
'roz' jab sham ho gai gahri
KHairiyat puchh li udasi ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.