Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho sitam kaisa bhi ab haalat ki shamshir ka

Aazim Kohli

ho sitam kaisa bhi ab haalat ki shamshir ka

Aazim Kohli

MORE BYAazim Kohli

    ho sitam kaisā bhī ab hālāt shamshīr

    vaqt badlegā kisī din ruḳh mirī tasvīr

    jān-levā hai tumhārā be-niyāzī chalan

    hashr dekhe banegā ab dil-e-dil-gīr

    baiThtī hai kaun karvaT ye baazī ishq

    gardishoñ ke haath meñ hai faisla taqdīr

    kaun bāñdhegā mirī bikhrī huī ummīd ko

    khul rahā hai ab to har halqa mirī zanjīr

    lutf lete ho kamāñ se chhoḌ kar jis ko ab aap

    kaash koī mujh se pūchhe kyā huā us tiir

    reḳhta se ishq 'āzim'? vo bhī aise daur meñ

    dekhnā kyā haal hotā hai tirī tahrīr

    ho sitam kaisa bhi ab haalat ki shamshir ka

    waqt badlega kisi din ruKH meri taswir ka

    jaan-lewa hai tumhaara be-niyazi ka chalan

    hashr dekhe hi banega ab dil-e-dil-gir ka

    baiThti hai kaun si karwaT ye bazi ishq ki

    gardishon ke hath mein hai faisla taqdir ka

    kaun bandhega meri bikhri hui ummid ko

    khul raha hai ab to har halqa meri zanjir ka

    lutf lete ho kaman se chhoD kar jis ko ab aap

    kash koi mujh se puchhe kya hua us tir ka

    reKHta se ishq 'azim'? wo bhi aise daur mein

    dekhna kya haal hota hai teri tahrir ka

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Aazim Kohli

    Aazim Kohli

    Source :
    • Book : Aaghaz (Pg. 80)
    • Author : Aazim Gurvinder Singh Kohli
    • Publication : Aazim Gurvinder Singh Kohli, 3/78 Punjabi Bagh,New Delhi-110026 (1998)
    • Edition : 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now