ho taraqqi par mera dard-e-judai aur bhi
ho taraqqī par mirā dard-e-judā.ī aur bhī
aur bhī ai bevafā kar bevafā.ī aur bhī
hone paayā thā abhī ḳhūgar na dard-e-hijr kā
aag rashk-e-ġhair ne dil meñ lagā.ī aur bhī
dekhiye muḌ kar nigāh-e-nāz ke qurbān maiñ
ek baar ai fitna-gar jalva-numā.ī aur bhī
fā.eda kyā aise harjā.ī se milne meñ 'faroġh'
ho ga.ī duniyā meñ terī jag-hañsā.ī aur bhī
ho taraqqi par mera dard-e-judai aur bhi
aur bhi ai bewafa kar bewafai aur bhi
hone paya tha abhi KHugar na dard-e-hijr ka
aag rashk-e-ghair ne dil mein lagai aur bhi
dekhiye muD kar nigah-e-naz ke qurban main
ek bar ai fitna-gar jalwa-numai aur bhi
faeda kya aise harjai se milne mein 'farogh'
ho gai duniya mein teri jag-hansai aur bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.