Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ho teri yaad ka dil mein guzar aahista aahista

Hasan Akbar Kamal

ho teri yaad ka dil mein guzar aahista aahista

Hasan Akbar Kamal

MORE BYHasan Akbar Kamal

    ho terī yaad dil meñ guzar āhista āhista

    kare ye chāñd sahrā meñ safar āhista āhista

    bahut tezī se duniyā chhīn legī jab tujhe mujh se

    phir is dil meñ aise mat utar āhista āhista

    ki ham dhoke meñ rakkheñ dostoñ ko ḳhush-kalāmī se

    hameñ aa gayā ye bhī hunar āhista āhista

    kahīñ se ek vīrānī saayā phailtā aayā

    hue be-rañg sab dīvār-o-dar āhista āhista

    na TuuTe aur kuchh din tujh se rishta is tarah merā

    mujhe barbād kar de magar āhista āhista

    ye ḳhāmoshī yahāñ husn hai rakhnā ḳhayāl is

    'kamāl' is dasht-e-vīrāñ se guzar āhista āhista

    ho teri yaad ka dil mein guzar aahista aahista

    kare ye chand sahra mein safar aahista aahista

    bahut tezi se duniya chhin legi jab tujhe mujh se

    tu phir is dil mein aise mat utar aahista aahista

    ki hum dhoke mein rakkhen doston ko KHush-kalami se

    hamein aa hi gaya ye bhi hunar aahista aahista

    kahin se ek virani ka saya phailta aaya

    hue be-rang sab diwar-o-dar aahista aahista

    na TuTe aur kuchh din tujh se rishta is tarah mera

    mujhe barbaad kar de tu magar aahista aahista

    ye KHamoshi yahan ka husn hai rakhna KHayal is ka

    'kamal' is dasht-e-viran se guzar aahista aahista

    Source :
    • Book : khizaa.n mera mausam (Pg. 137)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now