ho zamana udhar idhar hum tum
ho zamāna udhar idhar ham tum
ek-dūje ke dil-jigar ham tum
dil kī manzil ke ham-safar ham tum
ho ke duniyā se be-ḳhabar ham tum
āsmāñ se jo dekhe chāñd kabhī
chāñd ko aa.e bas nazar ham tum
vasl kī raat muḳhtasar sī lagī
rahe bātoñ meñ raat bhar ham tum
aa.e koī shikan na chehre par
rāste meñ mileñ agar ham tum
vaqtī har shai hai is jahāñ meñ par
ishq ke dahr meñ amar ham tum
ho zamana udhar idhar hum tum
ek-duje ke dil-jigar hum tum
dil ki manzil ke ham-safar hum tum
ho ke duniya se be-KHabar hum tum
aasman se jo dekhe chand kabhi
chand ko aae bas nazar hum tum
wasl ki raat muKHtasar si lagi
rahe baaton mein raat bhar hum tum
aae koi shikan na chehre par
raste mein milen agar hum tum
waqti har shai hai is jahan mein par
ishq ke dahr mein amar hum tum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.