hogi KHabar jo humne suni besh-o-kam ghalat
hogi KHabar jo humne suni besh-o-kam ghalat
Hakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
MORE BYHakim Mohammad Ajmal Khan Shaida
hogī ḳhabar jo ham ne sunī besh-o-kam ġhalat
khaao na bār-bār ḳhudā kī qasam ġhalat
zulfoñ se kuchh lagā hai pata kuchh laboñ se aaj
hotā nahīñ qayās jo karte haiñ ham ġhalat
detā hai kyoñ fareb ki maiñ bhed pā gayā
mujh par karam ġhalat hai 'adū par sitam ġhalat
aate haiñ mai-kade se vo sāġhar liye hue
niklā janāb-e-shaiḳh pe āḳhir bharam ġhalat
saudā yahī hai dīda-o-dil ko karūñ ḳharāb
ai ashk-e-ḳhūñ barā.e-ḳhudā tū na tham ġhalat
pahuñchā use ye haal mirā bād-e-sub.h-dam
letā hai dam marīz-e-jafā dam-ba-dam ġhalat
uljhā hai aisā dil ki na niklegā phir kabhī
hotī hai un kī zulf-e-dutā ḳham-ba-ḳham ġhalat
qibla banā ke laa.e the roz-e-azal se ham
sajda kiyā na thā tujhe ham ne sanam ġhalat
terā ḳhayāl hijr meñ is kā aniis hai
hotā hai terī yaad meñ 'shaidā' kā ġham ġhalat
hogi KHabar jo hum ne suni besh-o-kam ghalat
khao na bar-bar KHuda ki qasam ghalat
zulfon se kuchh laga hai pata kuchh labon se aaj
hota nahin qayas jo karte hain hum ghalat
deta hai kyon fareb ki main bhed pa gaya
mujh par karam ghalat hai 'adu par sitam ghalat
aate hain mai-kade se wo saghar liye hue
nikla janab-e-shaiKH pe aaKHir bharam ghalat
sauda yahi hai dida-o-dil ko karun KHarab
ai ashk-e-KHun barae-KHuda tu na tham ghalat
pahuncha use ye haal mera baad-e-subh-dam
leta hai dam mariz-e-jafa dam-ba-dam ghalat
uljha hai aisa dil ki na niklega phir kabhi
hoti hai un ki zulf-e-duta KHam-ba-KHam ghalat
qibla bana ke lae the roz-e-azal se hum
sajda kiya na tha tujhe hum ne sanam ghalat
tera KHayal hijr mein is ka anis hai
hota hai teri yaad mein 'shaida' ka gham ghalat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.