hon lakh zulm magar bad-dua nahin denge
hoñ laakh zulm magar bad-du'ā nahīñ deñge
zamīn maañ hai zamīñ ko daġhā nahīñ deñge
hameñ to sirf jagānā hai sone vāloñ ko
jo dar khulā hai vahāñ ham sadā nahīñ deñge
rivāyatoñ kī safeñ toḌ kar baḌho varna
jo tum se aage haiñ vo rāsta nahīñ deñge
yahāñ kahāñ tirā sajjāda aa ke ḳhaak pe baiTh
ki ham faqīr tujhe boriyā nahīñ deñge
sharāb pī ke baḌe tajrabe hue haiñ hameñ
sharīf logoñ ko ham mashvara nahīñ deñge
hon lakh zulm magar bad-du'a nahin denge
zamin man hai zamin ko dagha nahin denge
hamein to sirf jagana hai sone walon ko
jo dar khula hai wahan hum sada nahin denge
riwayaton ki safen toD kar baDho warna
jo tum se aage hain wo rasta nahin denge
yahan kahan tera sajjada aa ke KHak pe baiTh
ki hum faqir tujhe boriya nahin denge
sharab pi ke baDe tajrabe hue hain hamein
sharif logon ko hum mashwara nahin denge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.