Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hona hi kya zarur the ye do-jahan hain kyun

Behzad Lakhnavi

hona hi kya zarur the ye do-jahan hain kyun

Behzad Lakhnavi

MORE BYBehzad Lakhnavi

    honā kyā zarūr the ye do-jahāñ haiñ kyuuñ

    allāh ik fareb meñ kaun-o-makāñ haiñ kyuuñ

    sunte haiñ ek dard to uThtā hai bār-bār

    us ḳhabar nahīñ hai ki aañsū ravāñ haiñ kyuuñ

    in be-niyāziyoñ meñ bhī shān-e-niyāz hai

    sajde nahīñ pasand to phir āstāñ haiñ kyuuñ

    jis gulsitāñ meñ roz taḌaptī haiñ bijliyāñ

    yārab usī chaman meñ ye phir āshiyāñ haiñ kyuuñ

    is hameñ malāl hai ham kyuuñ badal ga.e

    is nahīñ malāl ki vo bad-gumāñ haiñ kyuuñ

    jab dil nahīñ rahā to tamannā kaam kyā

    jab kārvāñ nahīñ to pas-e-kārvāñ haiñ kyuuñ

    'bahzād' un ke hijr meñ ghabrā rahā hai dil

    ab kyā kaheñ kisī se ki bas ḳhānumāñ haiñ kyuuñ

    hona hi kya zarur the ye do-jahan hain kyun

    allah ek fareb mein kaun-o-makan hain kyun

    sunte hain ek dard to uThta hai bar-bar

    us ki KHabar nahin hai ki aansu rawan hain kyun

    in be-niyaziyon mein bhi shan-e-niyaz hai

    sajde nahin pasand to phir aastan hain kyun

    jis gulsitan mein roz taDapti hain bijliyan

    yarab usi chaman mein ye phir aashiyan hain kyun

    is ka hamein malal hai hum kyun badal gae

    is ka nahin malal ki wo bad-guman hain kyun

    jab dil nahin raha to tamanna ka kaam kya

    jab karwan nahin to pas-e-karwan hain kyun

    'bahzad' un ke hijr mein ghabra raha hai dil

    ab kya kahen kisi se ki bas KHanuman hain kyun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now