hone ko to duniya mein hain kitne hi hasin aur
hone ko to duniyā meñ haiñ kitne hī hasīñ aur
lekin nahīñ tum jaisā koī zohra-jabīñ aur
tum paas rahoge to hifāzat se rahoge
is daur meñ koī bhī nahīñ mujh sā amiiñ aur
dozaḳh kā mujhe ḳhauf hai nai ḳhvāhish-e-jannat
ab kuchh bhī mohabbat ke sivā dil meñ nahīñ aur
kaisā ye junūñ hai mirā koī to batā.e
jaanā thā mujhe aur kahīñ pahuñchā kahīñ aur
gar ishq kī tāqat ko koī laa.e amal meñ
duniyā meñ banā saktā hai vo ḳhuld-e-barīñ aur
asrār haqīqat ke ayaañ mujh pe hue haiñ
ab ho gayā puḳhta mirā īmān-o-yaqīñ aur
shāyad ye hai me.arāj mire husn-e-nazar kī
vo duur bhī hote haiñ to lagte haiñ qarīñ aur
alfāz kī ḳhushbū meñ taḳhayyul ko basā kar
kahtā huuñ ġhazal un ke liye ek hasīñ aur
sadmāt 'azīz' itne uThā.e haiñ jahāñ meñ
shāyad ki na ho merī tarah koī hazīñ aur
hone ko to duniya mein hain kitne hi hasin aur
lekin nahin tum jaisa koi zohra-jabin aur
tum pas rahoge to hifazat se rahoge
is daur mein koi bhi nahin mujh sa amin aur
dozaKH ka mujhe KHauf hai nai KHwahish-e-jannat
ab kuchh bhi mohabbat ke siwa dil mein nahin aur
kaisa ye junun hai mera koi to batae
jaana tha mujhe aur kahin pahuncha kahin aur
gar ishq ki taqat ko koi lae amal mein
duniya mein bana sakta hai wo KHuld-e-barin aur
asrar haqiqat ke ayan mujh pe hue hain
ab ho gaya puKHta mera iman-o-yaqin aur
shayad ye hai mearaj mere husn-e-nazar ki
wo dur bhi hote hain to lagte hain qarin aur
alfaz ki KHushbu mein taKHayyul ko basa kar
kahta hun ghazal un ke liye ek hasin aur
sadmat 'aziz' itne uThae hain jahan mein
shayad ki na ho meri tarah koi hazin aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.