hone lagi hai jism mein jumbish to dekhiye
hone lagī hai jism meñ jumbish to dekhiye
is par kaTe parinde kī koshish to dekhiye
gūñge nikal paḌe haiñ zabāñ kī talāsh meñ
sarkār ke ḳhilāf ye sāzish to dekhiye
barsāt aa ga.ī to darakne lagī zamīn
sūkhā machā rahī hai ye bārish to dekhiye
un kī appeal hai ki unheñ ham madad kareñ
chāqū kī pasliyoñ se guzārish to dekhiye
jis ne nazar uThā.ī vahī shaḳhs gum huā
is jism ke tilism kī bandish to dekhiye
hone lagi hai jism mein jumbish to dekhiye
is par kaTe parinde ki koshish to dekhiye
gunge nikal paDe hain zaban ki talash mein
sarkar ke KHilaf ye sazish to dekhiye
barsat aa gai to darakne lagi zamin
sukha macha rahi hai ye barish to dekhiye
un ki appeal hai ki unhen hum madad karen
chaqu ki pasliyon se guzarish to dekhiye
jis ne nazar uThai wahi shaKHs gum hua
is jism ke tilism ki bandish to dekhiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.