honi hun kisi haal mein Talne ki nahin hun
honī huuñ kisī haal meñ Talne kī nahīñ huuñ
maiñ vaqt ke hāthoñ se nikalne kī nahīñ huuñ
ye baat sahī TuuT ke bikhrī to bahut huuñ
ye baat ġhalat hai ki sambhalne kī nahīñ huuñ
lagtā hai jaḌeñ phail ga.ī haiñ mirī tujh meñ
ukhḌī to kahīñ phūlne-phalne kī nahīñ huuñ
pahchān zamāne meñ yahī hai mirī ab maiñ
kirdār kahānī meñ badalne kī nahīñ huuñ
maiñ huuñ pas-e-manzar kī bhī takmīl meñ shāmil
bas is liye manzar se nikalne kī nahīñ huuñ
be-ḳhauf jo sach boltā rahtā hai hamesha
vo aa.ina apnā maiñ badalne kī nahīñ huuñ
vahshat hai bahut ḳhuun meñ 'nusrat' isī Dar se
sahrā kī taraf jā ke Tahalne kī nahīñ huuñ
honi hun kisi haal mein Talne ki nahin hun
main waqt ke hathon se nikalne ki nahin hun
ye baat sahi TuT ke bikhri to bahut hun
ye baat ghalat hai ki sambhalne ki nahin hun
lagta hai jaDen phail gai hain meri tujh mein
ukhDi to kahin phulne-phalne ki nahin hun
pahchan zamane mein yahi hai meri ab main
kirdar kahani mein badalne ki nahin hun
main hun pas-e-manzar ki bhi takmil mein shamil
bas is liye manzar se nikalne ki nahin hun
be-KHauf jo sach bolta rahta hai hamesha
wo aaina apna main badalne ki nahin hun
wahshat hai bahut KHun mein 'nusrat' isi Dar se
sahra ki taraf ja ke Tahalne ki nahin hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.