honTon pe jo tere hai ye muskan meri jaan
hoñToñ pe jo tere hai ye muskān mirī jaan
le jā.egī ik roz mirī jaan mirī jaan
sab hosh gañvā baiThe tire chāhne vaale
is baat pe honā nahīñ hairān mirī jaan
apnoñ se kabhī tark-e-ta.alluq nahīñ karte
apnoñ ko nahīñ karte pareshān mirī jaan
is hañsne hañsāne se nahīñ jā.egā kuchh bhī
is meñ to nahīñ koī bhī nuqsān mirī jaan
chehre pe jamī dhuul se kyoñ bhuul rahā hai
'jāzib' huuñ maiñ 'jāzib' mujhe pahchān mirī jaan
honTon pe jo tere hai ye muskan meri jaan
le jaegi ek roz meri jaan meri jaan
sab hosh ganwa baiThe tere chahne wale
is baat pe hona nahin hairan meri jaan
apnon se kabhi tark-e-talluq nahin karte
apnon ko nahin karte pareshan meri jaan
is hansne hansane se nahin jaega kuchh bhi
is mein to nahin koi bhi nuqsan meri jaan
chehre pe jami dhul se kyon bhul raha hai
'jazib' hun main 'jazib' mujhe pahchan meri jaan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.