honTon pe mere pyas ki ab tishnagi nahin
hoñToñ pe mere pyaas kī ab tishnagī nahīñ
bebas huā huuñ itnā ki ab bebasī nahīñ
ḳhushiyoñ ko pā.emāl kiyā is qadar mirī
jholī meñ ek naam kī bhī ab ḳhushī nahīñ
yā zindagī ke saath chalā jaa.e har tarah
yā maut ho qubūl agar zindagī nahīñ
hāthoñ meñ terā haath ho dil ke nishān par
kyā tere is jahān meñ aisī ghaḌī nahīñ
rahtā hai ek sā hī ravayya sabhī ke saath
tū jān-e-‘māhtāb’ hai tū har kisī nahīñ
honTon pe mere pyas ki ab tishnagi nahin
bebas hua hun itna ki ab bebasi nahin
KHushiyon ko paemal kiya is qadar meri
jholi mein ek nam ki bhi ab KHushi nahin
ya zindagi ke sath chala jae har tarah
ya maut ho qubul agar zindagi nahin
hathon mein tera hath ho dil ke nishan par
kya tere is jahan mein aisi ghaDi nahin
rahta hai ek sa hi rawayya sabhi ke sath
tu jaan-e-‘mahtab’ hai tu har kisi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.