honTon pe tabassum ka labaada to nahin tha
hoñToñ pe tabassum kā labāda to nahīñ thā
ai dil sam-e-andoh ziyāda to nahīñ thā
ik ranj-e-tamannā se bahut surḳh thiiñ āñkheñ
sad shukr-e-ḳhudā nashsha-e-bada to nahīñ thā
aa.e the tire paas ghaḌī bhar ke liye ham
tā-umr Thaharne kā irāda to nahīñ thā
āsān to pahle bhī nahīñ thī ye rah-e-dil
mushkil bhī magar itnā ye jaada to nahīñ thā
tahrīr the ḳhvāb aur tamanna ke havāle
itnā varaq-e-dil koī saada to nahīñ thā
honTon pe tabassum ka labaada to nahin tha
ai dil sam-e-andoh ziyaada to nahin tha
ek ranj-e-tamanna se bahut surKH thin aankhen
sad shukr-e-KHuda nashsha-e-bada to nahin tha
aae the tere pas ghaDi bhar ke liye hum
ta-umr Thaharne ka irada to nahin tha
aasan to pahle bhi nahin thi ye rah-e-dil
mushkil bhi magar itna ye jada to nahin tha
tahrir the KHwab aur tamanna ke hawale
itna waraq-e-dil koi sada to nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.