honTon pe uske jumbish-e-inkar bhi nahin
hoñToñ pe us ke jumbish-e-inkār bhī nahīñ
āñkhoñ meñ koī shoḳhī-e-iqrār bhī nahīñ
bastī meñ koī mūnis-o-ġham-ḳhvār bhī nahīñ
'ġhālib' kā haa.e koī taraf-dār bhī nahīñ
kashtī burī tarah hai bhañvar meñ phañsī huī
lekin hamāre haath meñ patvār bhī nahīñ
un ko sazā.eñ dī haiñ zamāne ne bārhā
mulzim bhī jo nahīñ haiñ gunahgār bhī nahīñ
tohfa 'ajab diyā hai chaman ko bahār ne
phūloñ kā zikr kyā hai koī ḳhaar bhī nahīñ
shāyad ta'alluqāt meñ ab injimād hai
pahlī sī baat baat pe takrār bhī nahīñ
show-pīs to banā diyā hālāt ne 'asad'
koī magar hamārā ḳharīdār bhī nahīñ
honTon pe us ke jumbish-e-inkar bhi nahin
aankhon mein koi shoKHi-e-iqrar bhi nahin
basti mein koi munis-o-gham-KHwar bhi nahin
'ghaalib' ka hae koi taraf-dar bhi nahin
kashti buri tarah hai bhanwar mein phansi hui
lekin hamare hath mein patwar bhi nahin
un ko sazaen di hain zamane ne barha
mulzim bhi jo nahin hain gunahgar bhi nahin
tohfa 'ajab diya hai chaman ko bahaar ne
phulon ka zikr kya hai koi KHar bhi nahin
shayad ta'alluqat mein ab injimad hai
pahli si baat baat pe takrar bhi nahin
show-pis to bana diya haalat ne 'asad'
koi magar hamara KHaridar bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.