honTon se lafz zehn se afkar chhin le
hoñToñ se lafz zehn se afkār chhīn le
mujh se mirā vasīla-e-iz.hār chhīn le
nasleñ tabāh hoñgī qabīloñ kī jang meñ
jā baḌh ke apne baap se talvār chhīn le
nā-qadriyoñ kī andhī guphā sāmne hai phir
dīmak hī mere haath se shahkār chhīn le
anjām ḳhud-kushī na sahī phir bhī ai nadīm
mujh se mirī kahānī kā kirdār chhīn le
dariyā ke us taraf to akelā nahīñ 'salīm'
tujh ko jo chhīnñā ho isī paar chhīn le
honTon se lafz zehn se afkar chhin le
mujh se mera wasila-e-izhaar chhin le
naslen tabah hongi qabilon ki jang mein
ja baDh ke apne bap se talwar chhin le
na-qadriyon ki andhi gupha samne hai phir
dimak hi mere hath se shahkar chhin le
anjam KHud-kushi na sahi phir bhi ai nadim
mujh se meri kahani ka kirdar chhin le
dariya ke us taraf to akela nahin 'salim'
tujh ko jo chhinna ho isi par chhin le
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.