hosh mein aa kar mujhe ghaflat ka andaza hua

hosh mein aa kar mujhe ghaflat ka andaza hua
Javed Qamar Liyaqati
MORE BYJaved Qamar Liyaqati
hosh meñ aa kar mujhe ġhaflat kā andāza huā
matlabī is daur kī chāhat kā andāza huā
mushkiloñ ko rauñd kar jab maiñ baḌhā manzil kī samt
ham-safar ko tab mirī himmat kā andāza huā
jab amīr-e-shahr ne mujh ko biThāyā apne paas
ahl-e-mahfil ko mirī 'izzat kā andāza huā
jo mire dil meñ basā thā jab huā maiñ us se duur
pyaar ke ehsās aur ulfat kā andāza huā
be-ḳhabar thā apnī hālat se maiñ tere hijr meñ
aa.ine ko dekh kar hālat kā andāza huā
vo parī-paikar nazar ke sāmne thā be-naqāb
raat apne ḳhvāb kī qīmat kā andāza huā
tishna-lab lauTā maiñ jab dariyā pe aa kar ai 'qamar'
tab kisī kī pyaas kī shiddat kā andāza huā
hosh mein aa kar mujhe ghaflat ka andaza hua
matlabi is daur ki chahat ka andaza hua
mushkilon ko raund kar jab main baDha manzil ki samt
ham-safar ko tab meri himmat ka andaza hua
jab amir-e-shahr ne mujh ko biThaya apne pas
ahl-e-mahfil ko meri 'izzat ka andaza hua
jo mere dil mein basa tha jab hua main us se dur
pyar ke ehsas aur ulfat ka andaza hua
be-KHabar tha apni haalat se main tere hijr mein
aaine ko dekh kar haalat ka andaza hua
wo pari-paikar nazar ke samne tha be-naqab
raat apne KHwab ki qimat ka andaza hua
tishna-lab lauTa main jab dariya pe aa kar ai 'qamar'
tab kisi ki pyas ki shiddat ka andaza hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.