hosh mein aaen to kya hosh mein aae na bane
hosh meñ aa.eñ to kyā hosh meñ aa.e na bane
be-ḳhudī apnī vo parda ki uThā.e na bane
chāk-e-dil chāk-e-jigar chāk-e-garebāñ mat dekh
mujh se yuuñ luT ke tire sāmne aa.e na bane
nā-umīdī kā sukūñ bhī mirī qismat meñ nahīñ
sham-e-umīd bujhā.ūñ to bujhā.e na bane
ham to nākām palaT aa.eñ pa ai jān-e-hayāt
nā-murādāna tirī bazm se aa.e na bane
haa.e vo lauh-e-jabīñ aur vo tahrīr-e-vafā
kis tarah us ko bhulā.ūñ ki bhulā.e na bane
apnī nākām mohabbat pe pashemāñ huuñ 'payām'
ziist se aañkh milā.ūñ to milā.e na bane
hosh mein aaen to kya hosh mein aae na bane
be-KHudi apni wo parda ki uThae na bane
chaak-e-dil chaak-e-jigar chaak-e-gareban mat dekh
mujh se yun luT ke tere samne aae na bane
na-umidi ka sukun bhi meri qismat mein nahin
sham-e-umid bujhaun to bujhae na bane
hum to nakaam palaT aaen pa ai jaan-e-hayat
na-muradana teri bazm se aae na bane
hae wo lauh-e-jabin aur wo tahrir-e-wafa
kis tarah us ko bhulaun ki bhulae na bane
apni nakaam mohabbat pe pasheman hun 'payam'
zist se aankh milaun to milae na bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.