hosh-o-hawas jab se hamare chale gae
hosh-o-havās jab se hamāre chale ga.e
jo yār-e-ġham-gusār the saare chale ga.e
ai chārāgar vo dekh tire dar se nā-murād
bīmār-e-ishq yaas ke maare chale ga.e
ehsān nāḳhudā kā uThānā thā nāgavār
us paar ham ḳhudā ke sahāre chale ga.e
is be-ḳhudī kī ḳhair tirī justujū meñ ham
apnā hī naam aap pukāre chale ga.e
dil meñ liye shikāyat-e-be-mehrī-e-jahāñ
jaur-o-jafā ke dard ke maare chale ga.e
hosh-o-havās tāb-o-tavāñ zauq-e-bandagī
ham se ye zindagī ke sahāre chale ga.e
duniyā se jab ravāna hue ham gunāhgār
sar muñh chhupā.e sharm ke maare chale ga.e
'āzam' palaT ke aa.eñ vo mumkin kahāñ bhalā
āsūdgī meñ din jo guzāre chale ga.e
hosh-o-hawas jab se hamare chale gae
jo yar-e-gham-gusar the sare chale gae
ai chaaragar wo dekh tere dar se na-murad
bimar-e-ishq yas ke mare chale gae
ehsan naKHuda ka uThana tha nagawar
us par hum KHuda ke sahaare chale gae
is be-KHudi ki KHair teri justuju mein hum
apna hi nam aap pukare chale gae
dil mein liye shikayat-e-be-mehri-e-jahan
jaur-o-jafa ke dard ke mare chale gae
hosh-o-hawas tab-o-tawan zauq-e-bandagi
hum se ye zindagi ke sahaare chale gae
duniya se jab rawana hue hum gunahgar
sar munh chhupae sharm ke mare chale gae
'azam' palaT ke aaen wo mumkin kahan bhala
aasudgi mein din jo guzare chale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.