hosh-o-KHirad ka jal bichhaenge phir kabhi
hosh-o-ḳhirad kā jaal bichhā.eñge phir kabhī
zāhid tumhārī baat meñ ā.eñge phir kabhī
pahle sukūn chhīn leñ ham āsmān kā
shahr-e-tarab zamīñ pe basā.eñge phir kabhī
honā abhī hai lazzat-e-girya se mustafīd
nāz-o-adā ke lutf uThā.eñge phir kabhī
mazlūm dil ye kahtā rahā mujh se 'umr-bhar
bhūle se us galī meñ na jā.eñge phir kabhī
tanhā.iyoñ kā jashn manāne janāb-e-man
'ahmar' tumhārī bazm meñ ā.eñge phir kabhī
hosh-o-KHirad ka jal bichhaenge phir kabhi
zahid tumhaari baat mein aaenge phir kabhi
pahle sukun chhin len hum aasman ka
shahr-e-tarab zamin pe basaenge phir kabhi
hona abhi hai lazzat-e-girya se mustafid
naz-o-ada ke lutf uThaenge phir kabhi
mazlum dil ye kahta raha mujh se 'umr-bhar
bhule se us gali mein na jaenge phir kabhi
tanhaiyon ka jashn manane janab-e-man
'ahmar' tumhaari bazm mein aaenge phir kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.