hosh-o-KHirad se dur dur wahm-o-guman ke aas-pas
hosh-o-ḳhirad se duur duur vahm-o-gumāñ ke ās-pās
kartā hai dil tavāf kyoñ dushman-e-jāñ ke ās-pās
mahv-e-ḳhayāl-e-yār huuñ mujh ko ġharaz kisī se kyā
rahtā hai ik hisār sā ab jism-o-jāñ ke ās-pās
ik shor ḳhāmushī meñ hai ik zindagī hai maut sī
dahshat kā ik hujūm hai amn-o-amāñ ke ās-pās
gardish-e-māh-o-sāl ne aisā kiyā niDhāl bas
ghabrā ke uTh ga.e qadam dār-e-amāñ ke ās-pās
tujh se hamārā kuchh nahīñ rishta to phir batā mujhe
rahtā hai tū muqīm kyoñ aivān-e-jāñ ke ās-pās
ye ishq kā junūn hai is dard meñ sukūn hai
pahrā lagā hai dard kā āh-o-fuġhāñ ke ās-pās
bas ho nigāh-e-multafit jān-o-jigar bahāl ho
baiThe haiñ multajī sabhī mahfil-e-jāñ ke ās-pās
lagtā hai ai 'sadaf' tire ishq ne pā liyā uruuj
Thahrā huā hai dil tirā soz-e-nihāñ ke ās-pās
hosh-o-KHirad se dur dur wahm-o-guman ke aas-pas
karta hai dil tawaf kyon dushman-e-jaan ke aas-pas
mahw-e-KHayal-e-yar hun mujh ko gharaz kisi se kya
rahta hai ek hisar sa ab jism-o-jaan ke aas-pas
ek shor KHamushi mein hai ek zindagi hai maut si
dahshat ka ek hujum hai amn-o-aman ke aas-pas
gardish-e-mah-o-sal ne aisa kiya niDhaal bas
ghabra ke uTh gae qadam dar-e-aman ke aas-pas
tujh se hamara kuchh nahin rishta to phir bata mujhe
rahta hai tu muqim kyon aiwan-e-jaan ke aas-pas
ye ishq ka junun hai is dard mein sukun hai
pahra laga hai dard ka aah-o-fughan ke aas-pas
bas ho nigah-e-multafit jaan-o-jigar bahaal ho
baiThe hain multaji sabhi mahfil-e-jaan ke aas-pas
lagta hai ai 'sadaf' tere ishq ne pa liya uruj
Thahra hua hai dil tera soz-e-nihan ke aas-pas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.