hosh-zada nadan se Dar
hosh-zada nādān se Dar
baat samajh insān se Dar
tark-e-mohabbat bhī hai fareb
Thahre hue tūfān se Dar
rāh-e-junūñ hai rāh-e-najāt
kufr se bhaag īmān se Dar
dūrī-o-qurbat kuchh bhī nahīñ
ishq meñ itmīnān se Dar
maut bhī itnī talḳh nahīñ
dostoñ ke ehsān se Dar
ek tabassum kam na samajh
āñsuoñ ke tūfān se Dar
hoñTh hañseñ dil ro.e 'ḳhumār'
ishq kī jhūTī shaan se Dar
hosh-zada nadan se Dar
baat samajh insan se Dar
tark-e-mohabbat bhi hai fareb
Thahre hue tufan se Dar
rah-e-junun hai rah-e-najat
kufr se bhag iman se Dar
duri-o-qurbat kuchh bhi nahin
ishq mein itminan se Dar
maut bhi itni talKH nahin
doston ke ehsan se Dar
ek tabassum kam na samajh
aansuon ke tufan se Dar
honTh hansen dil roe 'KHumar'
ishq ki jhuTi shan se Dar
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 201)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.