hoshyar kar raha hai gajar jagte raho
hoshyār kar rahā hai gajar jāgte raho
ai sāhibān-e-fikr-o-nazar jāgte raho
dasht-e-shab-e-siyāh meñ sunte haiñ shab-parast
rokeñge kārvān-e-sahar jāgte raho
zulmat kahīñ na kar de ujāle ko dāġh-dār
le kar charāġh-e-dīda-e-tar jāgte raho
so.e nahīñ ki Duub ga.ī nabz-e-kā.enāt
bojhal ho laakh aañkh magar jāgte raho
ḳhvābīda apne chāhne vāloñ ko dekh kar
mumkin hai lauT jaa.e sahar jāgte raho
hoshyar kar raha hai gajar jagte raho
ai sahiban-e-fikr-o-nazar jagte raho
dasht-e-shab-e-siyah mein sunte hain shab-parast
rokenge karwan-e-sahar jagte raho
zulmat kahin na kar de ujale ko dagh-dar
le kar charagh-e-dida-e-tar jagte raho
soe nahin ki Dub gai nabz-e-kaenat
bojhal ho lakh aankh magar jagte raho
KHwabida apne chahne walon ko dekh kar
mumkin hai lauT jae sahar jagte raho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.