hota hai mere haal ka charcha mere aage
hotā hai mire haal kā charchā mire aage
bantā hai mirā roz tamāshā mire aage
afsos mirī aañkh meñ aañsū bhī nahīñ the
dam toḌ rahā thā koī pyāsā mire aage
itnā bhī ujāle na kareñ merā ta'āqub
aa jaa.e mire jism kā saaya mire aage
ye daur-e-guzishta meñ thā raftār kā 'ālam
manzil mire pīchhe rahī rasta mire aage
is vaqt maiñ ḳhud laash huuñ ḳhud nauha-sarā huuñ
rakkhā hai mirā apnā janāza mire aage
nākāmī-e-qismat kī shurū'āt huī hai
aatā hai abhī dekhiye kyā kyā mire aage
hota hai mere haal ka charcha mere aage
banta hai mera roz tamasha mere aage
afsos meri aankh mein aansu bhi nahin the
dam toD raha tha koi pyasa mere aage
itna bhi ujale na karen mera ta'aqub
aa jae mere jism ka saya mere aage
ye daur-e-guzishta mein tha raftar ka 'alam
manzil mere pichhe rahi rasta mere aage
is waqt main KHud lash hun KHud nauha-sara hun
rakkha hai mera apna janaza mere aage
nakaami-e-qismat ki shuru'at hui hai
aata hai abhi dekhiye kya kya mere aage
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.