hota raha firaq mein laghar tamam raat
hotā rahā firāq meñ lāġhar tamām raat
hāthoñ se uTh sakā bhī na sāġhar tamām raat
badlīñ shab-e-firāq meñ kuchh itnī karvaTeñ
aa.e haiñ yaad des ke machchhar tamām raat
baḌhne do soz-e-ishq meñ ye dil kī dhaḌkaneñ
jalte raheñ ye aag ke heater tamām raat
vo bāñdhte rahe maiñ use kholtā rahā
bichh hī sakā na Dhañg se bistar tamām raat
kashmīr ke havāle se ḳhvāb-o-ḳhayāl meñ
ugte rahe haiñ sarv-o-sanobar tamām raat
'bulbul' kisī hasīn pe yuuñ dil machal gayā
nāchā ho jaise sahn meñ bandar tamām raat
hota raha firaq mein laghar tamam raat
hathon se uTh saka bhi na saghar tamam raat
badlin shab-e-firaq mein kuchh itni karwaTen
aae hain yaad des ke machchhar tamam raat
baDhne do soz-e-ishq mein ye dil ki dhaDkanen
jalte rahen ye aag ke heater tamam raat
wo bandhte rahe main use kholta raha
bichh hi saka na Dhang se bistar tamam raat
kashmir ke hawale se KHwab-o-KHayal mein
ugte rahe hain sarw-o-sanobar tamam raat
'bulbul' kisi hasin pe yun dil machal gaya
nacha ho jaise sahn mein bandar tamam raat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.