Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hote hote chashm se aaj ashk-bari rah gai

Bahadur Shah Zafar

hote hote chashm se aaj ashk-bari rah gai

Bahadur Shah Zafar

MORE BYBahadur Shah Zafar

    hote hote chashm se aaj ashk-bārī rah ga.ī

    aabrū baare tirī abr-e-bahārī rah ga.ī

    aate aate is taraf un savārī rah ga.ī

    dil dil meñ ārzū-e-jāñ-nisārī rah ga.ī

    ham ko ḳhatra thā ki logoñ meñ thā charchā aur kuchh

    baat ḳhat aane se tere par hamārī rah ga.ī

    TukḌe TukḌe ho ke uḌ jā.egā sab sañg-e-mazār

    dil meñ ba.ad-az-marg kuchh gar be-qarārī rah ga.ī

    itnā miliye ḳhaak meñ jo ḳhaak meñ DhūñDe koī

    ḳhāksārī ḳhaak gar ḳhāksārī rah ga.ī

    aao gar aanā hai kyuuñ gin gin ke rakhte ho qadam

    aur koī dam hai yaañ dam-shumārī rah ga.ī

    ho gayā jis din se apne dil par us ko iḳhtiyār

    iḳhtiyār apnā gayā be-iḳhtiyārī rah ga.ī

    jab qadam us kāfir-e-bad-kesh jānib baḌhe

    duur pahuñche sau qadam parhez-gārī rah ga.ī

    khīñchte teġh adā ke dam huā apnā havā

    aah dil meñ ārzū-e-zaḳhm-e-kārī rah ga.ī

    aur to ġham-ḳhvār saare kar chuke ġham-ḳhvārgī

    ab faqat hai ek ġham ġham-gusārī rah ga.ī

    shikva ayyārī yāroñ se bajā hai ai 'zafar'

    is zamāne meñ yahī hai rasm-e-yārī rah ga.ī

    hote hote chashm se aaj ashk-bari rah gai

    aabru bare teri abr-e-bahaari rah gai

    aate aate is taraf un ki sawari rah gai

    dil ki dil mein aarzu-e-jaan-nisari rah gai

    hum ko KHatra tha ki logon mein tha charcha aur kuchh

    baat KHat aane se tere par hamari rah gai

    TukDe TukDe ho ke uD jaega sab sang-e-mazar

    dil mein baad-az-marg kuchh gar be-qarari rah gai

    itna miliye KHak mein jo KHak mein DhunDe koi

    KHaksari KHak ki gar KHaksari rah gai

    aao gar aana hai kyun gin gin ke rakhte ho qadam

    aur koi dam ki hai yan dam-shumari rah gai

    ho gaya jis din se apne dil par us ko iKHtiyar

    iKHtiyar apna gaya be-iKHtiyari rah gai

    jab qadam us kafir-e-bad-kesh ki jaanib baDhe

    dur pahunche sau qadam parhez-gari rah gai

    khinchte hi tegh ada ke dam hua apna hawa

    aah dil mein aarzu-e-zaKHm-e-kari rah gai

    aur to gham-KHwar sare kar chuke gham-KHwargi

    ab faqat hai ek gham ki gham-gusari rah gai

    shikwa ayyari ka yaron se baja hai ai 'zafar'

    is zamane mein yahi hai rasm-e-yari rah gai

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now