hoti hai mujh pe unki inayat kabhi kabhi
hotī hai mujh pe un kī ināyat kabhī kabhī
tāsīr jab dikhātī hai ulfat kabhī kabhī
hāsil huī hai nuur se zulmat kabhī kabhī
hai un ke shukriye meñ shikāyat kabhī kabhī
ai raushnī-e-tab.a tū bar man balā shudī
zillat-nasīb hotī hai shohrat kabhī kabhī
ġhairoñ se iltifāt to apnoñ se be-ruḳhī
be-jā rahī hai un kī muravvat kabhī kabhī
ranj-o-ḳhushī kā dahr ne dekhā hai imtizāj
hotī hai qahqahoñ se bhī riqqat kabhī kabhī
sach hai mizāj-e-yār talavvun-pasand hai
ulfat kabhī kabhī hai adāvat kabhī kabhī
'sāqib' kā hāl-e-zār vo sunte hī aa.e haiñ
muzhda hai vasl kā shab-e-furqat kabhī kabhī
hoti hai mujh pe un ki inayat kabhi kabhi
tasir jab dikhati hai ulfat kabhi kabhi
hasil hui hai nur se zulmat kabhi kabhi
hai un ke shukriye mein shikayat kabhi kabhi
ai raushni-e-taba tu bar man bala shudi
zillat-nasib hoti hai shohrat kabhi kabhi
ghairon se iltifat to apnon se be-ruKHi
be-ja rahi hai un ki murawwat kabhi kabhi
ranj-o-KHushi ka dahr ne dekha hai imtizaj
hoti hai qahqahon se bhi riqqat kabhi kabhi
sach hai mizaj-e-yar talawwun-pasand hai
ulfat kabhi kabhi hai adawat kabhi kabhi
'saqib' ka haal-e-zar wo sunte hi aae hain
muzhda hai wasl ka shab-e-furqat kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.