hoti hain jal se jaise nadiyon ki izzaten
hotī haiñ jal se jaise nadiyoñ kī izzateñ
sidq-e-maqāl se haiñ yāroñ kī izzateñ
jin ko mire nabī kī ḳhalvat huī atā
afzal haiñ bastiyoñ se ġhāroñ kī izzateñ
sajde meñ sar kaTā ke karbal kī ret par
shabbīr ne baḌhā.īñ sajdoñ kī izzateñ
dekho zarā tamāsha jhūToñ ke jhunD meñ
nīlām ho rahī haiñ sachchoñ kī izzateñ
baiThe na hote phir se ayyār taḳht par
hotīñ agar vatan meñ achchhoñ kī izzateñ
us shahr ke baḌoñ par kuttoñ ko chhoḌ do
luTtī hoñ jis nagar meñ bachchoñ kī izzateñ
hijrat kī raah par huuñ palTūñgā jiit kar
qaa.em rahīñ 'zafar' jo rāhoñ kī izzateñ
hoti hain jal se jaise nadiyon ki izzaten
sidq-e-maqal se hain yaron ki izzaten
jin ko mere nabi ki KHalwat hui ata
afzal hain bastiyon se ghaaron ki izzaten
sajde mein sar kaTa ke karbal ki ret par
shabbir ne baDhain sajdon ki izzaten
dekho zara tamasha jhuTon ke jhunD mein
nilam ho rahi hain sachchon ki izzaten
baiThe na hote phir se ayyar taKHt par
hotin agar watan mein achchhon ki izzaten
us shahr ke baDon par kutton ko chhoD do
luTti hon jis nagar mein bachchon ki izzaten
hijrat ki rah par hun palTunga jit kar
qaem rahin 'zafar' jo rahon ki izzaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.