hua dil ka haal abtar tujhe yaad karte karte
huā dil kā haal abtar tujhe yaad karte karte
mirī jaañ nikal na jaa.e kahīñ aah bharte bharte
mirī ārzū-e-dil ko na.ī zindagī milī hai
ki abhī abhī bache haiñ mire ḳhvāb marte marte
tujhe bhūlne kī ḳhātir bhī hai ek umr lāzim
kaTī ek umr merī tujhe yaad karte karte
huī maut jab muqābil mujhe tum hī yaad aa.e
rahe tum hī jān-e-armāñ mirī jaan marte marte
jo kisī ne mujh se pūchhī mirī āḳhirī tamannā
tirā naam hī to aayā mire lab pe Darte Darte
ye thā kis ko ilm yaaro ye bhalā kise ḳhabar thī
koī jī uThegā ik din tire ġham meñ marte marte
isī ḳhauf se ki tujh ko kahīñ bhuul hī na jā.ūñ
tujhe yaad kar rahī huuñ use yaad karte karte
hua dil ka haal abtar tujhe yaad karte karte
meri jaan nikal na jae kahin aah bharte bharte
meri aarzu-e-dil ko nai zindagi mili hai
ki abhi abhi bache hain mere KHwab marte marte
tujhe bhulne ki KHatir bhi hai ek umr lazim
kaTi ek umr meri tujhe yaad karte karte
hui maut jab muqabil mujhe tum hi yaad aae
rahe tum hi jaan-e-arman meri jaan marte marte
jo kisi ne mujh se puchhi meri aaKHiri tamanna
tera nam hi to aaya mere lab pe Darte Darte
ye tha kis ko ilm yaro ye bhala kise KHabar thi
koi ji uThega ek din tere gham mein marte marte
isi KHauf se ki tujh ko kahin bhul hi na jaun
tujhe yaad kar rahi hun use yaad karte karte
- Book : Tishnagi (Pg. 47)
- Author : Minu Bakshi
- Publication : Educational Publishing House (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.