huā hai ishq taaza ibtidā.ī aah hotī hai
mubārak tifl-e-dil kī aaj bismillāh hotī hai
milā jab dirham-e-dāġh-e-junūñ ghabrā ke dil bolā
yahī kyā ishq kī sarkār meñ tanḳhvāh hotī hai
bayāñ kartā nahīñ dil vasf us rū-e-muḳhattat kā
ḳhudā ke ghar meñ tafsīr-e-kalāmullāh hotī hai
faroġh apnā sivā hotā hai zulm-e-charḳh-e-gardāñ se
jo dil jaltā hai raushan aur sham-e-āh hotī hai
hua hai ishq taza ibtidai aah hoti hai
mubarak tifl-e-dil ki aaj bismillah hoti hai
mila jab dirham-e-dagh-e-junun ghabra ke dil bola
yahi kya ishq ki sarkar mein tanKHwah hoti hai
bayan karta nahin dil wasf us ru-e-muKHattat ka
KHuda ke ghar mein tafsir-e-kalamullah hoti hai
farogh apna siwa hota hai zulm-e-charKH-e-gardan se
jo dil jalta hai raushan aur sham-e-ah hoti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.