hua hai teri mohabbat ka hausla saqi
huā hai terī mohabbat kā hausla saaqī
magar garāñ hai qanā.at kā marhala saaqī
nazar nazar meñ jagah DhūñDhtā rahā mai-kash
koī to jāntā rindī kā martaba saaqī
balā kashān-e-dar-e-mai-kada kahāñ jaa.eñ
qadam qadam hai qayāmat kā fāsla saaqī
mirī hayāt kā sab kuchh fazā-e-mai-ḳhāna
subū-o-jām tirā ek mashġhala saaqī
ye dasht-e-tishna-labī hai shikasta ḳheme haiñ
kahāñ gayā mire armāñ kā qāfila saaqī
amaañ se duur hai sahrā-e-ārzū kī tapish
hayāt-e-soz-e-tamannā kā aabla saaqī
hayāt kyā hai mohabbat hai kyuuñ jamāl hai kyā
na hal huā kabhī 'aḳhtar' kā mas.ala saaqī
hua hai teri mohabbat ka hausla saqi
magar garan hai qanaat ka marhala saqi
nazar nazar mein jagah DhunDhta raha mai-kash
koi to jaanta rindi ka martaba saqi
bala kashan-e-dar-e-mai-kada kahan jaen
qadam qadam hai qayamat ka fasla saqi
meri hayat ka sab kuchh faza-e-mai-KHana
subu-o-jam tera ek mashghala saqi
ye dasht-e-tishna-labi hai shikasta KHeme hain
kahan gaya mere arman ka qafila saqi
aman se dur hai sahra-e-arzu ki tapish
hayat-e-soz-e-tamanna ka aabla saqi
hayat kya hai mohabbat hai kyun jamal hai kya
na hal hua kabhi 'aKHtar' ka masala saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.