hua hun in dinon mail kisi ka
huā huuñ in dinoñ maa.il kisī kā
na thā maiñ is qadar ghā.il kisī kā
divāne dil kuuñ samjhātā huuñ lekin
kahāñ lag ho.e koī haa.il kisī kā
huā hai dil-dahī kā tum pe tāvāñ
nahīñ āsān lenā dil kisī kā
ḳham-e-gesū siiñ apne tū girah khol
khule tā uqda-e-mushkil kisī kā
kiyā yak vaar meñ ka.ī dil kī phāñkeñ
lagā hai haat kyā kāmil kisī kā
galī meñ jis kī shor-e-karbalā hai
salonā shoḳh hai qātil kisī kā
kaho us lāla-e-gulzār-e-jāñ kuuñ
kabhī to dekh dāġh-e-dil kisī kā
'sirāj' ab soz-e-dil merā vo jaane
jo hai parvāna-e-mahfil kisī kā
hua hun in dinon mail kisi ka
na tha main is qadar ghail kisi ka
diwane dil kun samjhata hun lekin
kahan lag hoe koi hail kisi ka
hua hai dil-dahi ka tum pe tawan
nahin aasan lena dil kisi ka
KHam-e-gesu sin apne tu girah khol
khule ta uqda-e-mushkil kisi ka
kiya yak war mein kai dil ki phanken
laga hai hat kya kaamil kisi ka
gali mein jis ki shor-e-karbala hai
salona shoKH hai qatil kisi ka
kaho us lala-e-gulzar-e-jaan kun
kabhi to dekh dagh-e-dil kisi ka
'siraj' ab soz-e-dil mera wo jaane
jo hai parwana-e-mahfil kisi ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.