hua jo unki KHamoshi se kuchh malal mujhe
huā jo un kī ḳhamoshī se kuchh malāl mujhe
javāb dene lagī tāqat-e-savāl mujhe
kisī ke dil se kisī kī nazar se girtā huuñ
sañbhālnā hai to ai āsmāñ sambhāl mujhe
umīd-e-bosa hai phir bhī agarche ye hai yaqīñ
bahut zalīl karegā mirā savāl mujhe
sadā-e-nāla shab-e-vasl bhī na dil se ga.ī
pukārtī thī ye hasrat mirī nikāl mujhe
pilā de bazm meñ saaqī use sharāb itnī
vo mast-e-nāz kahe mujh se tū sañbhāl mujhe
shikāyatoñ se mohabbat kī aur kyā hāsil
kuchh infi.āl tumheñ ho kuchh infi.āl mujhe
asīr-e-halqa-e-kākul na maiñ huā ai 'dāġh'
mire ḳhudā ne bachāyā hai bāl-bāl mujhe
hua jo un ki KHamoshi se kuchh malal mujhe
jawab dene lagi taqat-e-sawal mujhe
kisi ke dil se kisi ki nazar se girta hun
sanbhaalna hai to ai aasman sambhaal mujhe
umid-e-bosa hai phir bhi agarche ye hai yaqin
bahut zalil karega mera sawal mujhe
sada-e-nala shab-e-wasl bhi na dil se gai
pukarti thi ye hasrat meri nikal mujhe
pila de bazm mein saqi use sharab itni
wo mast-e-naz kahe mujh se tu sanbhaal mujhe
shikayaton se mohabbat ki aur kya hasil
kuchh infial tumhein ho kuchh infial mujhe
asir-e-halqa-e-kakul na main hua ai 'dagh'
mere KHuda ne bachaya hai baal-baal mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.