hua jo waqf-e-gham wo dil kisi ka ho nahin sakta
huā jo vaqf-e-ġham vo dil kisī kā ho nahīñ saktā
tumhārā ban nahīñ saktā hamārā ho nahīñ saktā
sunā pahle to ḳhvāb-e-vasl phir irshād farmāyā
tire rusvā kiye se koī rusvā ho nahīñ saktā
lagāvaT us kī nazroñ meñ banāvaT us kī bātoñ meñ
sahārā miT nahīñ saktā bharosā ho nahīñ saktā
tamannā meñ tirī miT jaa.e dil haañ ye to mumkin hai
mire dil se miTe terī tamannā ho nahīñ saktā
na fursat hai na rāhat hai na 'beḳhud' vo tabī.at hai
ġhazal kyā ḳhaak likkheñ sher achchhā ho nahīñ saktā
hua jo waqf-e-gham wo dil kisi ka ho nahin sakta
tumhaara ban nahin sakta hamara ho nahin sakta
suna pahle to KHwab-e-wasl phir irshad farmaya
tere ruswa kiye se koi ruswa ho nahin sakta
lagawaT us ki nazron mein banawaT us ki baaton mein
sahaara miT nahin sakta bharosa ho nahin sakta
tamanna mein teri miT jae dil han ye to mumkin hai
mere dil se miTe teri tamanna ho nahin sakta
na fursat hai na rahat hai na 'beKHud' wo tabiat hai
ghazal kya KHak likkhen sher achchha ho nahin sakta
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 161)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.