Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hua na zor se uske koi gareban chaak

Allama Iqbal

hua na zor se uske koi gareban chaak

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    Baal-e-Gibril

    huā na zor se us ke koī garebāñ chaak

    agarche maġhribiyoñ junūñ bhī thā chālāk

    mai-e-yaqīñ se zamīr-e-hayāt hai pur-soz

    nasīb-e-madrasa rab ye āb-e-ātish-nāk

    urūj-e-ādam-e-ḳhākī ke muntazir haiñ tamām

    ye kahkashāñ ye sitāre ye nīl-gūñ aflāk

    yahī zamāna-e-hāzir kā.enāt hai kyā

    dimāġh raushan o dil tiira o nigah bebāk

    be-basar ho to ye māna-e-nigāh bhī hai

    vagarna aag hai momin jahāñ ḳhas o ḳhāshāk

    zamāna aql ko samjhā huā hai mish.al-e-rāh

    kise ḳhabar ki junūñ bhī hai sāhib-e-idrāk

    jahāñ tamām hai mīrās mard-e-momin

    mire kalām pe hujjat hai nuktā-e-laulāk

    hua na zor se us ke koi gareban chaak

    agarche maghribiyon ka junun bhi tha chaalak

    mai-e-yaqin se zamir-e-hayat hai pur-soz

    nasib-e-madrasa ya rab ye aab-e-atish-nak

    uruj-e-adam-e-KHaki ke muntazir hain tamam

    ye kahkashan ye sitare ye nil-gun aflak

    yahi zamana-e-hazir ki kaenat hai kya

    dimagh raushan o dil tera o nigah bebak

    tu be-basar ho to ye mana-e-nigah bhi hai

    wagarna aag hai momin jahan KHas o KHashak

    zamana aql ko samjha hua hai mishal-e-rah

    kise KHabar ki junun bhi hai sahib-e-idrak

    jahan tamam hai miras mard-e-momin ki

    mere kalam pe hujjat hai nukta-e-laulak

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now