Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hua phir aks apna yun juda aahista-ahista

Saqib Humraaz

hua phir aks apna yun juda aahista-ahista

Saqib Humraaz

MORE BYSaqib Humraaz

    huā phir aks apnā yuuñ judā āhista-āhista

    ki jaise haath se rang-e-hinā āhista-āhista

    bahut mānūs nazroñ se achānak kaise haT jaatā

    maiñ manzar se pas-e-manzar huā āhista-āhista

    phir us ke baad DhūñDā jā.egā merā badan ya.anī

    mujhe mash.hūr kar degī havā āhista-āhista

    lahū reñgtī rassī ragoñ ko jakḌe jaatī hai

    dabī jaatī hai dhaḌkan sadā āhista-āhista

    uThā.ī rahī haiñ jaldī jaldī nuur lāsheñ

    huā jaatā hai maddham ik diyā āhista-āhista

    kisī būḌhe shajar se phir na.ī dīvāreñ sīkheñgī

    Thahar kar chhāñv dene adā āhista-āhista

    tumheñ chhū kar mire rauzan hue jaate haiñ yuuñ raushan

    samajh aane lage jaise ḳhudā āhista-āhista

    mujhe apnī taraf khīñcho mujhe paivast-e-jāñ kar lo

    magar thoḌā tahammul se zarā āhista-āhista

    isī ik shāḳh-e-nargis ke vasīle se huā āḳhir

    ilāqa-dar-ilāqa phir harā āhista-āhista

    hua phir aks apna yun juda aahista-ahista

    ki jaise hath se rang-e-hina aahista-ahista

    bahut manus nazron se achanak kaise haT jata

    main manzar se pas-e-manzar hua aahista-ahista

    phir us ke baad DhunDa jaega mera badan yani

    mujhe mashhur kar degi hawa aahista-ahista

    lahu ki rengti rassi ragon ko jakDe jati hai

    dabi jati hai dhaDkan ki sada aahista-ahista

    uThai ja rahi hain jaldi jaldi nur ki lashen

    hua jata hai maddham ek diya aahista-ahista

    kisi buDhe shajar se phir nai diwaren sikhengi

    Thahar kar chhanw dene ki ada aahista-ahista

    tumhein chhu kar mere rauzan hue jate hain yun raushan

    samajh aane lage jaise KHuda aahista-ahista

    mujhe apni taraf khincho mujhe paiwast-e-jaan kar lo

    magar thoDa tahammul se zara aahista-ahista

    isi ek shaKH-e-nargis ke wasile se hua aaKHir

    ilaqa-dar-ilaqa phir hara aahista-ahista

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now