hudud-e-shahr-e-tilismat se nahin nikla
hudūd-e-shahr-e-tilismāt se nahīñ niklā
maiñ apne dā.e.r-e-zāt se nahīñ niklā
abhī to ḳhud pe mirā iḳhtiyār baaqī hai
abhī to kuchh bhī mire haath se nahīñ niklā
vo vaqt ban ke mire sāmne rahā har din
tamām-umr maiñ auqāt se nahīñ niklā
hudud-e-shahr-e-tilismat se nahin nikla
main apne daer-e-zat se nahin nikla
abhi to KHud pe mera iKHtiyar baqi hai
abhi to kuchh bhi mere hath se nahin nikla
wo waqt ban ke mere samne raha har din
tamam-umr main auqat se nahin nikla
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 39)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 37)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.