hue ab humse tum gar dushman-e-jaani to behtar hai
hue ab humse tum gar dushman-e-jaani to behtar hai
Fakhruddin Khan Mahir
MORE BYFakhruddin Khan Mahir
hue ab ham se tum gar dushman-e-jānī to behtar hai
miyāñ ġhairoñ se mil kar dil meñ yuuñ Thānī to behtar hai
nahīñ hai ḳhuub sohbat har kisī kam-zarf se lekin
nahīñ gar mānte az-rāh-e-nādānī to behtar hai
ba-juz ḳhush-taba.ī-o-chashmak na dekhā harf meñ tum se
karo mauqūf agar ye vaz-e-rindānī to behtar hai
ze-rūe-ḳhair-ḳhvāhī tum se maiñ kahtā huuñ ai pyāre
nasīhat tum ne ye merī agar maanī to behtar hai
jahāñ se uTh gayā 'saudā' sā shā.ir haif ai 'māhir'
kare gar tark tū sher-e-ġhazal-ḳhvānī to behtar hai
hue ab hum se tum gar dushman-e-jaani to behtar hai
miyan ghairon se mil kar dil mein yun Thani to behtar hai
nahin hai KHub sohbat har kisi kam-zarf se lekin
nahin gar mante az-rah-e-nadani to behtar hai
ba-juz KHush-tabai-o-chashmak na dekha harf mein tum se
karo mauquf agar ye waz-e-rindani to behtar hai
ze-rue-KHair-KHwahi tum se main kahta hun ai pyare
nasihat tum ne ye meri agar mani to behtar hai
jahan se uTh gaya 'sauda' sa shair haif ai 'mahir'
kare gar tark tu sher-e-ghazal-KHwani to behtar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.