Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hue hain ja ke aashiq ab to hum us shoKH chanchal ke

Taban Abdul Hai

hue hain ja ke aashiq ab to hum us shoKH chanchal ke

Taban Abdul Hai

MORE BYTaban Abdul Hai

    hue haiñ ke āshiq ab to ham us shoḳh chanchal ke

    sitamgar be-muravvat be-vafā be-rahm achpal ke

    ġhazāloñ ko tirī āñkheñ se kuchh nisbat nahīñ hargiz

    ki ye aahū haiñ shahrī aur ve vahshī haiñ jañgal ke

    giraftārī huī hai dil ko mere be-tarah is se

    ki aa.e pech meñ kahte un zulf ke bal ke

    ye daulat-mand agar shab ko nahīñ yaaro to phir kyā hai

    ki haiñ ye chāñdnī rātoñ ko bhī muhtāj mish.al ke

    tumhāre dard-e-sar se sandalī-rañgo agar duuñ

    chhāpe qabr par denā mirī tum aa ke sandal ke

    koī is ko kahe hai daam kui zanjīr kui sumbul

    hazāroñ naam haiñ kāfir tirī zulf-e-musalsal ke

    bayābāñ ban hameñ ulfat nahīñ hai shahr se hargiz

    tarah majnūñ ke 'tābāñ' ham to dīvāne haiñ jañgal ke

    hue hain ja ke aashiq ab to hum us shoKH chanchal ke

    sitamgar be-murawwat be-wafa be-rahm achpal ke

    ghazalon ko teri aankhen se kuchh nisbat nahin hargiz

    ki ye aahu hain shahri aur we wahshi hain jangal ke

    giraftari hui hai dil ko mere be-tarah is se

    ki aae pech mein kahte hi un ki zulf ke bal ke

    ye daulat-mand agar shab ko nahin yaro to phir kya hai

    ki hain ye chandni raaton ko bhi muhtaj mishal ke

    tumhaare dard-e-sar se sandali-rango agar ji dun

    tu chhape qabr par dena meri tum aa ke sandal ke

    koi is ko kahe hai dam kui zanjir kui sumbul

    hazaron nam hain kafir teri zulf-e-musalsal ke

    bayaban ban hamein ulfat nahin hai shahr se hargiz

    tarah majnun ke 'taban' hum to diwane hain jangal ke

    Source :
    • Deewan-e-Taban Rekhta Website)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now