hue hain ram pitam ke nayan aahista-ahista
hue haiñ raam pītam ke nayan āhista-āhista
ki jyuuñ phāñde meñ aate haiñ hiran āhista-āhista
mirā dil misl parvāne ke thā mushtāq jalne kā
lagī us sham.a suuñ āḳhir lagan āhista-āhista
girebāñ sabr kā mat chaak kar ai ḳhātir-e-miskīñ
sunegā baat vo shīrīñ-bachan āhista-āhista
gul o bulbul kā gulshan meñ ḳhalal hove to barjā hai
chaman meñ jab chale vo gul-badan āhista-āhista
'valī' siine meñ mere panja-e-ishq-e-sitamgar ne
kiyā hai chaak dil kā pairahan āhista-āhista
hue hain ram pitam ke nayan aahista-ahista
ki jyun phande mein aate hain hiran aahista-ahista
mera dil misl parwane ke tha mushtaq jalne ka
lagi us shama sun aaKHir lagan aahista-ahista
gireban sabr ka mat chaak kar ai KHatir-e-miskin
sunega baat wo shirin-bachan aahista-ahista
gul o bulbul ka gulshan mein KHalal howe to barja hai
chaman mein jab chale wo gul-badan aahista-ahista
'wali' sine mein mere panja-e-ishq-e-sitamgar ne
kiya hai chaak dil ka pairahan aahista-ahista
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.