hue jo panw se mazur hum jabin se chale
hue jo panw se mazur hum jabin se chale
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
hue jo paañv se ma.azūr ham jabīñ se chale
junūn-e-shauq meñ ye silsile hamīñ se chale
hamārā sar hī hamesha nishāna bantā hai
kisī bhī samt se patthar chale kahīñ se chale
khule tarīqe se ham par chale nahīñ ḳhanjar
agar chale bhī to yāroñ kī āstīñ se chale
zarā bhī dosh nahīñ is meñ āsmānoñ kā
bagūle fitnoñ ke jab bhī chale zamīñ se chale
farāz-e-dār kī azmat meñ kuchh kalām nahīñ
buland-baḳhtī ke sab silsile yahīñ se chale
ye pesh-raft kī hai shart-e-avvalīñ 'manshā'
ki chalne vaalā aTal azm-e-pur-yaqīñ se chale
hue jo panw se mazur hum jabin se chale
junun-e-shauq mein ye silsile hamin se chale
hamara sar hi hamesha nishana banta hai
kisi bhi samt se patthar chale kahin se chale
khule tariqe se hum par chale nahin KHanjar
agar chale bhi to yaron ki aastin se chale
zara bhi dosh nahin is mein aasmanon ka
bagule fitnon ke jab bhi chale zamin se chale
faraaz-e-dar ki azmat mein kuchh kalam nahin
buland-baKHti ke sab silsile yahin se chale
ye pesh-raft ki hai shart-e-awwalin 'mansha'
ki chalne wala aTal azm-e-pur-yaqin se chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.