hue yak-ba-yak gum nazar aate aate
hue yak-ba-yak gum nazar aate aate
kahāñ rah ga.e vo idhar aate aate
bahut gard uTThī jidhar se vo guzre
miTe naqsh-e-pā bhī nazar aate aate
bahut manziloñ se guzarnā hai ham ko
surūr-e-haqīqī kā ghar aate aate
abhī vaqt baaqī hai aur aarzū bhī
vo aa jaa.eñ shāyad sahar aate aate
hue yak-ba-yak gum nazar aate aate
kahan rah gae wo idhar aate aate
bahut gard uTThi jidhar se wo guzre
miTe naqsh-e-pa bhi nazar aate aate
bahut manzilon se guzarna hai hum ko
surur-e-haqiqi ka ghar aate aate
abhi waqt baqi hai aur aarzu bhi
wo aa jaen shayad sahar aate aate
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.