hui hai umr ki KHurshid se nazar na mili
huī hai 'umr ki ḳhurshīd se nazar na milī
hamāre hijr kī shab ko kahīñ sahar na milī
milī to un se magar fursat-e-nazar na milī
phir us ke baa'd ḳhud apnī hameñ ḳhabar na milī
tire karam se zamāne meñ mujh ko kyā na milā
nahīñ milī to bas ik terī rahguzar na milī
khulā ye raaz ki nā-pā.edār hai duniyā
yahāñ kisī se koī baat mo'tabar na milī
asīr-e-halqa-e-dām-e-ḳhayāl hai ab tak
vo bad-nasīb jise tāb-e-bāl-o-par na milī
ḳhudā kī zaat se kuchh munharif rahe vo log
ki jin ko chashm milī chahsm-e-haq-nigar na milī
kahāñ kahāñ tire jalve na āshkār hue
kahāñ kahāñ tire jalvoñ se ye nazar na milī
har ek raat kī hotī to hai sahar lekin
hamārī raat ko 'arsa huā sahar na milī
ḳhudā kī shaan hai 'sā.ib' sab ek haiñ lekin
kisī bashar se kahīñ sūrat-e-bashar na milī
hui hai 'umr ki KHurshid se nazar na mili
hamare hijr ki shab ko kahin sahar na mili
mili to un se magar fursat-e-nazar na mili
phir us ke ba'd KHud apni hamein KHabar na mili
tere karam se zamane mein mujh ko kya na mila
nahin mili to bas ek teri rahguzar na mili
khula ye raaz ki na-paedar hai duniya
yahan kisi se koi baat mo'tabar na mili
asir-e-halqa-e-dam-e-KHayal hai ab tak
wo bad-nasib jise tab-e-baal-o-par na mili
KHuda ki zat se kuchh munharif rahe wo log
ki jin ko chashm mili chahsm-e-haq-nigar na mili
kahan kahan tere jalwe na aashkar hue
kahan kahan tere jalwon se ye nazar na mili
har ek raat ki hoti to hai sahar lekin
hamari raat ko 'arsa hua sahar na mili
KHuda ki shan hai 'saib' sab ek hain lekin
kisi bashar se kahin surat-e-bashar na mili
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.