hui ijad nai tarz-e-KHushamad ki nahin
huī ījād na.ī tarz-e-ḳhushāmad ki nahīñ
kal kā aa.iin hai ab tak sar-e-masnad ki nahīñ
aa ga.ī ai mire saa.e se bhī bachne vaalī
rafta rafta tire iqrār kī sarhad ki nahīñ
nahr-e-ḳhūñ ho chukī, farhād kī mazdūrī ko
ab ke teshe se milī qīmat-e-sā.ad ki nahīñ
nāsehā is liye maiñ gosh-bar-āvāz na thā
tirī āvāz se chhoTā hai tirā qad ki nahīñ
hui ijad nai tarz-e-KHushamad ki nahin
kal ka aain hai ab tak sar-e-masnad ki nahin
aa gai ai mere sae se bhi bachne wali
rafta rafta tere iqrar ki sarhad ki nahin
nahr-e-KHun ho chuki, farhad ki mazduri ko
ab ke teshe se mili qimat-e-saad ki nahin
naseha is liye main gosh-bar-awaz na tha
teri aawaz se chhoTa hai tera qad ki nahin
- Book : Kulliyat-e-Mustafa Zaidi(koh-e-nida) (Pg. 109)
- Author : Mustafa Zaidi
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.